Jab Abhay baahar nikal gaya to Iqbal ne kaha, “Are lagta hai hamara plan fail
ho gaya, woh to baahar chala gaya!” Ab huwa yeh tha ke inn donon ne jaan
bujhkar seat badle the jhoot mooth ke jhagra karne ke liye taakey Abhay ko uss
ladki ke bare mein sochne se rokein….. Iqbal aur Vinay Abhay ke bade achchey
dost the, Abhay kuch eise daur se guzra hai jiss ki vajah se Abhay ki maa ne
donon doston ko usska khaas khayaal rakhne ko kaha hai, aur weise agar Abhay ki
maa nahin bhi kehti to donon bilkool Abhay ka khayaal karte hi hein. Ek bahot
gehri bond hein teenon ke beech, teen saguey bhaiyon mein bhi kabhi utna
apnapan nahin dekhne ko milta jitna inn teenon mein tha. Koyi bhi ek dusre ke
takliff nahin bardasht kar sakte the kabhi. Jab se Vinay aur Iqbal ne Abhay se
dosti ki tab se abhay ne unn donon ke ghar ke haalaat bilkool badal dale,
family tensions ko bilkool mita diya aur Iqbal aur Vinay ke behnon ke shaadi
dhoom dham se karwadi. Donon ek to Abhay ke ehsanon ke niche dabbe huwe the
upar se dil ka raja tha Abhay, bahot bada dil tha usske paas aur dusron ke
taklifon ko nahin dekh sakta tha. Jhat se madad ke liye chala jata tha jab koyi
bhi mushkil mein hota tha. Donon Iqbal aur Vinay ke maawon ne Abhay ko itni
duwaein diye aur dete rehte hein ke upar wale ko unn duwaon ko refuse karna
shaayad mushkil parta ho! Suna hai maa ki duwa turant qubool hoti hai, yeh woh
recommendation hai jiss ko turant pass kiya jata hai aasmaanon mein…….
Magar maze ki baat yeh hai ke Abhay ka inn donon se dosti kab aur keise huwa?!
Yeh teenon ek dusre ko jaante bhi nahin the. Inn ki dosti dushmani se shuru
huwi, jhadga, ladaayi se shuru huwa. 5 saal pehle inn teenon ki dushmani aur
dosti huwi. Ek saal se Abhay school chala raha tha unn dinon. Naya tha uss
location mein jahan aaj isska school hai. School ke building ke kareeb ek
football playground hai. Yahan par ladke football khelne ko atey hein aaj bhi. Aur
kayi sport ke activities hote hein thik gali ke uss taraf jahan Abhay ka school
hai. Sheher ke sirf 10 minute ke walk ke baad iss location ko reach hote hein.
To unn dinon sham ke waqt jab Abhay dance classes khatam karta tha thik ussi
waqt football khel kar players wapas jate the. To raaste mein aksar mila karte
the eise hi bina baat cheet ke. Aur school ke samne ek chota sa dukaan tha aur
bus stop bhi. To unn dinon Abhay ke students mein se ek ladki thi Sandhya naam
ki jo uss bus stop par bus ka wait karti thi dance class ke baad. Woh ek
student thi aur school ke baad dance class mein ati thi Abhay ke paas. Usske
saath aur do teen ladkiyan bus stop par huwa karte the sham ko. Ek din Sandhya
ne Abhay se kaha ke har sham ko ek ladka ussko bus stop par cherta hai aur tang
karta hai, aur unn teen ladkiyon ne gawahi bhi diye. To Abhay ne kaha ke sham
ko jaakar uss bus stop par hamesha ki tarah khada ho jaye aur jeise hi woh
ladka usske paas aye woh Abhay ko ishara karein….. Abhay kuch doorie se, apne
car ko door park karke wait kar raha tha. Weise to har sham ko unn ladkiyon ko
chor kar chala jata tha, magar iss din ko wait kiya.
Woh ladka jo football playground se koyi 20/25 ladkon ke beech se ata tha koyi
aur nahin balke Vinay tha! Aur Iqbal usske saath huwa karta tha, woh donon
pehle se dost the. Vinay kuch gunda, mawali type ka tha unn dinon aur cher
chaani ladkiyon ke saath, aur flirt karna usske dayein haath ka khel tha, bahot
sare ladkiyon ko pata bhi leta tha…magar woh kabhi serious nahin tha, sirf time
pass karta tha…. Ek buri aadat yeh thi ke woh ladkiyon ko bina janey touch
karta tha, haath chuhta tha, gale ko chuhta tha, baalon ko chuhta tha….. aur
yeh sab Sandhya ke saath bhi kiya…… Sandhya sidhi saadhi ladki thi aur ussko
yeh sab passand nahin tha aur ussne kayi baar Vinay se kaha bhi magar Vinay
nahin maana aur lagataar har shaam ko Sandhya ko tang karne chala ata tha… aur
Iqbal saath mein Vinay ko encourage kiya karta tha.
To Abay car mein baith kar dekh raha tha aur jab Vinay Sandhya ke paas aakar
khada huwa aur kuch kaha usske kaanon mein jo Abhay ne suna to nahin magar
actions dekha, aur phir Vinay ne Sandya ke baalon ko upar uthaya aur usske
gardan par apna haath phera aur Sandya annoyed feel karte huwe Abhay ke taraf
dekha aur nazron se ishara kiya…… Abhay ko actions dekhkar bahot ghussa aya aur
ussi ghusse mein car se utar kar tezi se busstop ke taraf aya aur aakar Vinay
ko dhakka dete huwe kaha , “kyun be kia ho raha hai yeh? Kyun haath lagaya iss
ladki ko?” Uss dhakke se Vinay teen chaar kadam piche ladhkhada gaya aur filmi
gundon ki tarah apne colar ko piche ke taraf push karte huwe ek shaitaani
muskurahat ke saath mudhkar Iqbal se kehta hai, “Hey Iqbal dekh hero ka entry
huwa, heroine ko bachane aya hai sala! Hahaha!” phir Vinay ke taraf dekhte huwe
ussne kaha, “Kyun be teri behen lagti hai kia?” Tab tak Iqbal Abhay ke peeth
par aakar khada hota hai aur aguey se Vinay Abhay ke taraf kadam badhate ata
hai. Abhay Vinay ko jawab deta hai, “Meri kuch bhi lagti ho tujhe issko chuhne
ka koyi haq nahin!” Tab Vinay kehta hai, “Achah?! Kia karlega yeh le phir
chuhta hoon” Aur ussne Sandhya ke baal khinche. Aur turant Abhay ne Vinay ko
direct ek right punch mara jo sidha Vinay ke chehre par laga aur Vinay
ladhkhada kar kayi kadam piche deewar se takra gaya, magar turant Abhay ke
taraf tezi se badha apne mukkey ko Abhay par barsaane ke liye aur Iqbal jo
piche tha ussne Abhay ke haathon ko jakar liye piche se hi, aur Vinay ka ghunsa
Abhay ke chehre par pada thik enkhon ke niche aur woh sujh gaya…. Abhay ko pata
nahin tha ke achanak piche se koyi ussko thaam lega nahin to Vinay ka ghunssa
ussko bilkool nahin padta…… To ab Abhay Iqbal ko jhuk kar Pichey se aguey
patakta hai aur ek jump maar kar Vinay ke chaati par ek double kick maarta hai
aur ek laat Iqbal ko bhi padta hai tab tak sabhi bus stop ke passengers ek kone
mein chale jate hein Sandhya bhi, aur baaki ke log jamma ho jate hein fight
dekhne ke liye, dukaan mein se kayi log bhaagte huwe ate hein aur playground ke
sabhi players bhi….ek bhir jamma ho jata hai aur actions chaalu rehta hai…..
Abhay jeise bekhudi mein laat ghussa maarne lagta hai donon taraf aur Vinay ke
honth, naak, kaan se khoon behne lagte hein aur Iqbal ek kone mein bhaag khada
hota hai…… Vinay zameen par paya jata hai tab Abhay usske paas ata hai apne
laat se ussko massalne ko tab Vinay chillata hai apne donon haaton ko upar
uthaye surrender karte huwe, “Are bus bus biddu bus, jaan se maroge kia baap!
Tu jeeta main hara, kia mukka paya hai baap!! Mera jabda tor dala re!! haye re
Iqbal kahan hai tu, chal nikal le!!” Abhay kehta hai, «Eise nahin ; chal, uss
ladki se maafi mang sab ke saamne !» Abhay usske collar pakad ke ussko Sandhya
ke paas lejata hai, aur dhire se Vinay kehna hai, “Kia hero, kyun izat ka
faluda karta hai, jane do nah yaar, khali pili sharam mein daal rahe ho, chalo
apni ghalti manta hoon baap!” Magar Abhay nahin maana aur ussko Sandhya tak
leke gaya aur chilla kar kaha, «maafi mang ! yeh kia lagti hai tu ne poocha nah
? yeh meri student hai !» Tab Vinay sar uthakar Abhay ko dekhta hai aur kehta
hai, «Arey tu kia teacher hai? Tu to mere umar ka dikhta hai biddu, to main ne
socha ke tu bhi flirt karta hoga isske saath…yeh to maamla ulta ho gaya re,
maaf kardo baap, hey ladki i am sorry hein, maaf karna, pata nahin tha tera
teacher idhar hi hai….. ab jane do na yaar !»
Abhay ussko collar se hi khinchte huwe dusre taraf legaya aur poocha «tera woh
dusra saathi kidhar hai, ussne mujhko piche se pakra tha nah, chal ussko bhi
abhi batata hoon…… » Yeh sunkar Iqbal bhir mein chup raha tha aur dekhe ja raha
tha…. To Vinay bola, «are mere baap, jane do na main uss ke taraf se bhi maafi
mangta hoon, uss ne to nahin cherra ladki ko, jane do nah, dekh biddu ab police
volice ko matt bulana, hum eisa nahin kareinguey ab chor do na yaar !»
Iqbal nazar nahin aya to Abhay ne Vinay ka collar ko chora aur ussko apne ungli
dikhate huwe warn kiya, «Agar main ne phir kabhi tumko bus stop par kissi bhi
ladki ke pas dekha to tera khair nahin samjha?» Abhay apne jabde ko hath se
seedha karte huwe bola, «Nahin dekhoge biddu, bilkool nahin dekhoge, are baap
re baap kia ghussa mara hai tu ne, weise mera bhi pehla wala laga tha tujhko
nah ? kidhar laga dekhun to, lo, hahahaha ! Tera bhi enkh ke nichey sujh gaya
hai jaa marham patti tu bhi karwa lena, magar tum ne to mere khoon baha diya
yaar ! » Abhay tab tak kuch cool hogaya tha aur apne car tak pohonch gaya tha
aur mirror mein apne enkh ke niche ka ghaw dekhne laga aur Vinay dusre mirror
mein apne ghaw dekh raha tha aur chilla utha, «Are biddu mere chehre mein to
stitches lagana padega, tum ne to mera chehra bigaar dala re ! Ab hospital jana
padega, haye re haye teen jagah par phat gaya hai mera chehra, gaalon par, enkh
ke nichey, honth bhi….
0 Comments
Hi thank you for your response